Main Aur Bazm-E-Mai Se Yun Tishna-Kaam Aaun, Gar Maine Kee Thi Tauba Saaqi Ko Kyaa Hua Tha! |
Abhi Raat Hai Baaki Naa Utha Naqaab Saaki, Tera Rind Girte Girte Kahin Phir Sambhal Na Jayein! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kane Mein 'Firaq', Jab Pi Chuke Sharab To Sanjida Ho Gaye! |
Ye Kaali Kaali Botlein Jo Hain Sharaab Kee, Raatein Hain In Mein Band Hamare Shabaab Kee! |
Pita Hun Jitni Utni Hi Badhti Hai Tishnagi, Saqi Ne Jaise Pyaas Mila Di Sharab Mein! |
Shikan Na Daal Jabin Par Sharab Dete Hue; Ye Muskurati Hui Cheez Muskura Ke Pila! |
Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi; Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi! |
Mehfil-e-Ishq Sajao To Koi Baat Bane; Daulat-e-Ishq Lutao To Koi Baat Bane; Jaam Haathon Se Nahi Hai Peena Mujhko; Kabhi Aankhon Se Pilao To Koi Baat Bane! |
Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya; Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya; Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake; Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya! |
Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The; Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat; Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab; Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The! |