Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi; Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi! |
Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein; Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein! Translation: Why Parsimony today in the promise of tomorrow's imbibing. This surely is an insult to the generosity of heaven's thirst-quencher. |
Kaash Humein Bhi Koi Samjhane Wala Hota; To Aaj Hum Itne Nasamjh Na Hote; Kaash Koi Ishq Ka Jaam Pilane Wala Hota; To Aaj Hum Bhi Is Sharab Ke Deewane Na Hote! |
Sab Kehte Hain Ki Buri Hai Yeh Sharaab; Maine Bhi Maana Ki Yeh Sharaab Nasha Chadati Hai; Fir Puchte Hain Sab Mujhse Ki Kyon Peeta Hun Main; To Kya Bataun Yaaro Yeh Sharab Hi Hai Jo Unka Gham Bhulati Hai! |
Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log; Lamhon Mein Zamaane Dhoondhte Hain Hum Log; Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi; Peene Ke Bahaane Dhoondhte Hain Hum Log! |
Mahekta Hua Jism Tera Gulab Jaisa Hai; Neend Ke Safar Mein Tu Khwaab Jaisa Hai; Do Ghoont Pee Lene De Aankhon Kee Mastiyan; Nasha Teri Aankhon Ka Sharab Ke Jaam Jaisa Hai! |
मैखाने मे आऊंगा मगर पिऊंगा नही, साकी; ये शराब मेरा गम मिटाने की औकात नही रखती। |
Na Tum Hosh Mein Ho Na Hum Hosh Mein Hain; Chalo Maikade Mein Wahin Baat Hogi! |
Yu Toheen Naa Kar Sharaab Ko Kadwa Keh Kar; Zindgi Ke Tajurbe Sharaab Se Bhi Kadwe Hote Hein! |
Har Kisi Baat Ka Koyi Jawaab Nahi Hota; Har Naam Ishq Mein Kharab Nahi Hota; Yun To Jhum Lete Hain Nashe Me Rehne Wale; Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota! |