Jo Khushi Hai Fani Toh Gham Bhi Fani; Na Ye Javedani Na Woh Javedani! Fani: Mortal Javedani: Immortal, Forever, Eternal |
Zindagi Yun Hi Hui Basar Tanha; Qafila Saath Aur Safar Tanha! Basar: Spent Qafila: Caravan Tanha: Lonely |
Umr Tamaam Bahaar Ki Umeed Mein Guzar Gayi; Bahaar Aayi Hai Toh Maut Ka Paigaam Layi Hai! |
Subah Hoti Hai Shaam Hoti Hai; Umra Yun Hi Tamaam Hoti Hai! |
Mehnat Lagti Hai Sapno Ko Sach Banane Mein; Haunsla Lagta Hai Bulandiyon Ko Paane Mein; Barson Lagte Hain Zindagi Banane Mein; Aur Zindagi Phir Bhi Kam Padti Hai Pyaar Nibhane Mein! |
Lamhon Ki Ek Kitaab Hai Zindagi; Saanson Aur Khyalon Ka Hissab Hai Zindagi; Kuch Zaroorate Poori Kuch Khwaishein Adhoori; Bas Inhi Sawalon Ka Jawab Hai Zindagi! |
Kismat Ke Aage Zor Hamesha Chale Zaroori Toh Nahi; Tamannaye Lakh Ho Par Sab Poori Ho Zaroori To Nahi; Keemat Toh Har Kadam Par Sabko Chukani Padti Hai; Fir Bhi Zindagi Ka Har Karz Chuk Paye Zaroori Toh Nahi! |
Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho; Zindagi Kya Hai Kitabon Ko Hata Kar Dekho! |
Maut Ne Chupke Se Na Jane Kya Kaha; Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi! |
Zindagi Ka Lamha Bahut Chhota Sa Hai; Kal Ki Koi Buniyad Nahi Hai Aur Aane Wala Kal Sirf Sapne Mein Hai! |