Ye Aur Baat Hai Ki Aandhi Hamare Bas Mein Nahi, Magar Chirag Jalana To Ikhtiyar Mein Hai! |
Toofano Mein Kashti Ko Kinaare Bhi Milte Hain; Jahan Mein Logo Ko Sahaare Bhi Milte Hain; Duniya Mein Sabse Pyaari Hai Zindagi; Kuch Log Zindagi Se Bhi Pyaare Milte Hain! |
Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyon Kiya Jaye; Shaunk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar-Mar Ke Jiya Jaye; Jab Jalebi Ki Tarah Uljh Hi Rahi Hai Tu Ai Zindagi; Toh Fir Kyon Na Tujhe Chaashni Mein Dubokar Maza Hi Le Liya Jaye! |
Daayra Har Baar Banata Hoon Zindagi Ke liye; Lakeerein Wahin Rehti Hain Main Khisak Jaata Hoon! |
Zindagi Guzar Gayi Saari Kanton Kee Kagaar Par; Aur Phoolon Ne Machai Hai Bheed Hamari Mazaar Par! |
Agar Tamaam Baatein Taqdir Mein Likhi Hoti Toh; Main Apne Bando Ko Dua Maangna Na Sikhata! |
Zindagi Meri Thi Lekin Ab Toh; Tere Kehne Mein Raha Karti Hai! |
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Ko Chupao; Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao; Khud Na Kabhi Rootho Par Sabko Manao; Raaz Hai Yeh Zindgi Ka, Bas Jeete Chale Jao! |
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Chupao; Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao; Khud Na Rutho Kabhi Par Sabko Manao; Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao! |
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jaate Hain; Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain; Tu Zindagi Main Sabse Azeez Hai Hamein; Tujhse Har Bar Yeh Kehna Bhool Jaate Hain! |