Yeh Ek Baar Ki Maut Ab Use Mili Warna; Zara Zara Sa Toh Hiddat Se Mar Raha Tha Koi! |
Apni To Zindagi Ki Ajeeb Kahani Hai; Jis Cheez Ko Chaha Wo Hi Begani Hai; Haste Hain Dunia Ko Hasane Ke Liye Warna; Dunia Doob Jaye In Ankhon Main Itna Pani Hai! |
Taash Ke Patoon Ki Manind Hai Zindagi Meri; Jis Kisi Ne Bhi Khela, Taqseem Mar Diya Mujhe! |
Hichkiyon Par Ho Raha Hai Zindagi Ka Raag Ḳhatam; Jhatke De Kar Taar Tode Ja Rahe Hain Saaz Ke! |
Mil Sake Aasani Se Uski Khawaish Kise Hai; Zid To Uski Hai Jo Mukadar Me Likha Hi Nahi Hai! |
Fikr-e-Maash Ishq-e-Butan Yaad-e-Raftagan; Is Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare! |
Badi Talash Se Milti Hai Zindagi Ai Dost; Qaza Ki Tarah Pata Puchti Nahi Aati! |
Aaj Nagah Hum Kisi Se Mile; Baad Muddat Ke Zindagī Se Mile! |
Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka; Lekin Ye Dekhna Hai Ki Mitti Kahan Ki Hai! |
Pehle Bhi Jeete The, Magar Jab Se Mili Hai Zindagi; Seedhi Nahi Hai, Door Tak Uljhi Hai Zindagi! |