Jis Din Meri Arthi Is Duniya Se Vida Hogi; Ek Alag Sama Hoga Ek Alag Baat Hogi! |
Band Lifafe Pe Rakhi Chitthi Si Hai Ye Zindagi; Pata Nahi Agle Hi Pal Kaun Sa Paigam Le Aaye! |
Waqt Sikha Deta Hai Insan Ko Falsafa Zindagi Ka; Phir To, Naseeb Kya, Lakeer Kya Aur Taqdeer Kya! |
Samajh Na Aaye Ai Zindagi Tera Yeh Faisla, Ek Taraf Kehte Hain Sabar Ka Phal Meetha Hota Hai, Aur Dusri Taraf Kehte Hain Waqt Kisi Ka Intezar Nahi Karta! |
Udasiyon Ki Vajah To Bahut Hai Zindagi Mein, Lekin Bevajah Khush Rehne Ka Maza Hi Kuch Aur Hai! |
Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan, Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan! |
Sikha Diya Hai Jahaan Ne Har Zakham Pe Hansna, Le Dekh Zindagi, Ab Tujhse Nahi Darte Hum! |
Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun; Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi; Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili; Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi! |
Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai; Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai; Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf; Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai! |
Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |