Toofano Mein Kashti Ko Kinaare Bhi Milte Hain; Jahan Mein Logo Ko Sahaare Bhi Milte Hain; Duniya Mein Sabse Pyaari Hai Zindagi; Kuch Log Zindagi Se Bhi Pyaare Milte Hain! |
Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyon Kiya Jaye; Shaunk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar-Mar Ke Jiya Jaye; Jab Jalebi Ki Tarah Uljh Hi Rahi Hai Tu Ai Zindagi; Toh Fir Kyon Na Tujhe Chaashni Mein Dubokar Maza Hi Le Liya Jaye! |
Daayra Har Baar Banata Hoon Zindagi Ke liye; Lakeerein Wahin Rehti Hain Main Khisak Jaata Hoon! |
Zindagi Guzar Gayi Saari Kanton Kee Kagaar Par; Aur Phoolon Ne Machai Hai Bheed Hamari Mazaar Par! |
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jaate Hain; Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain; Tu Zindagi Main Sabse Azeez Hai Hamein; Tujhse Har Bar Yeh Kehna Bhool Jaate Hain! |
Mil Sake Aasani Se Uski Khawaish Kise Hai; Zid To Uski Hai Jo Mukadar Me Likha Hi Nahi Hai! |
Badi Talash Se Milti Hai Zindagi Ai Dost; Qaza Ki Tarah Pata Puchti Nahi Aati! |
Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka; Lekin Ye Dekhna Hai Ki Mitti Kahan Ki Hai! |
Achhi Bhali Thi Door Se, Jab Paas Aayi Kho Gayi; Jis Mein Na Aaye Kuch Nazar Woh Roshni Hai Zindagi! |
Sab Hawayein Le Gayaa Mere Samandar Ki Koi; Aur Mujhko Ek Kashti Badvani De Gayaa! |