Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai; Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti; Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log; Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti! |
Itni Badsaluki Na Kar Ai Zindagi; Hum Kaun Sa Yahan Baar-Baar Aane Wale Hain! |
Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De; Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi; Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu; Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi! Meaning: Aashna = Introduce Behar = Sea Iztrab = Restlessness Faraa g = Freeness Kitaab-Khawan = Reader of book Sahib-e-Kitaab = Owner of book |
Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho; Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho! |
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin'; Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho! |
Jo Yakeen Ke Raah Par Chal Pade, Unhein Manzilon Ne Panaah Dee; Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya, Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye! |
Khawabon ki Tabeer Mein Zindgi Uljhaa Li Itni; Ke Haqeeqat Mein Rehna Ka Saleeka Hi Hum Bhool Gaye! |
Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes 'Ghalib'; Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain! |
Khuda To Milta Hai, Insaan Hi Nahin Milta; Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine! |
Guzar Na Jaye Kahin Umar Ehteyaaton Mein; Jo Kaam Karne Hain Woh Deewana-War Kar Daloon! Translation: Deewana = War;like Crazies |