Achhi Bhali Thi Door Se, Jab Paas Aayi Kho Gayi; Jis Mein Na Aaye Kuch Nazar Woh Roshni Hai Zindagi! |
Sab Hawayein Le Gayaa Mere Samandar Ki Koi; Aur Mujhko Ek Kashti Badvani De Gayaa! |
Jis Din Meri Arthi Is Duniya Se Vida Hogi; Ek Alag Sama Hoga Ek Alag Baat Hogi! |
Band Lifafe Pe Rakhi Chitthi Si Hai Ye Zindagi; Pata Nahi Agle Hi Pal Kaun Sa Paigam Le Aaye! |
Waqt Sikha Deta Hai Insan Ko Falsafa Zindagi Ka; Phir To, Naseeb Kya, Lakeer Kya Aur Taqdeer Kya! |
Raaste Kahan Khatam Hote Hain Zindagi Ke Is Safar Mein, Manzil Wahi Jahan Khwahishen Tham Jayein! |
Har Aarzoo Poori Ho To Jeene Ka Kya Maza, Jeene Ke Liye Bas Ek Khoobsurat Wajah Ki Talaash Kar! |
Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyon Kiya Jaye, Shaunk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar-Mar Ke Jiya Jaye. Jab Jalebi Ki Tarah Uljh Hi Rahi Hai Tu Ai Zindagi, Toh Fir Kyon Na Tujhe Chashni Mein Dubo Kar Maza Hi Le Liya Jaye! |
Nahi Maangta Ai Khudaa Ki Zindagi Sau Saal Kee De, De Bhale Chand Lamhon Kee Lekin Kamaal Kee De! |
Samajh Na Aaye Ai Zindagi Tera Yeh Faisla, Ek Taraf Kehte Hain Sabar Ka Phal Meetha Hota Hai, Aur Dusri Taraf Kehte Hain Waqt Kisi Ka Intezar Nahi Karta! |