Udasiyon Ki Vajah To Bahut Hai Zindagi Mein, Lekin Bevajah Khush Rehne Ka Maza Hi Kuch Aur Hai! |
Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan, Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan! |
Sikha Diya Hai Jahaan Ne Har Zakham Pe Hansna, Le Dekh Zindagi, Ab Tujhse Nahi Darte Hum! |
Zindagi Tasveer Bhi Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi; Farak To Bas Iske Rango Ka Hai; Mann Chahe Rango Se Bane To Hai Tasveer; Aur Aanjane Rango Se Bane To Hoti Hai Taqdeer! |
Ruthi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum; Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum; Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To; Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum! |
Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun; Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi; Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili; Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi! |
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye; Khade The Maut Kee Raah Pe Magar Jeena Seekh Gaye; Ab To Is Zindagi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai; Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye! |
Kashish Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Kee; Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge; Waqt Hona Chahiye Kisi Ko Milne Ka; Bahane To Apne Aap Hi Mil Jaynege! |
Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai; Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai; Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf; Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai! |
Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi; Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi; Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain; Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi! |