Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai; Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti; Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log; Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti! |
Itni Badsaluki Na Kar Ai Zindagi; Hum Kaun Sa Yahan Baar-Baar Aane Wale Hain! |
Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De; Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi; Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu; Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi! Meaning: Aashna = Introduce Behar = Sea Iztrab = Restlessness Faraa g = Freeness Kitaab-Khawan = Reader of book Sahib-e-Kitaab = Owner of book |
Na Afsos Hai Tujhe Sahab Na Koi Sharmindagi Hai; Guzar Rahi Hai Jo Gunaahon Mein Yeh Kaisi Zindagi Hai! |
Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho; Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho! |
Phool Bankar Muskurana Zindagi; Muskurake Ghum Bhulana Zindagi; Jeet Kar Koi Khush Ho Toh Kya Hua; Haar Kar Khushiyan Manana Bhi Hai Zindagi! |
Gham-e-Hayaat Pareshaan Na Kar Sakega Mujhe; Ki Aa Geya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka! |
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin'; Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho! |
Jo Yakeen Ke Raah Par Chal Pade, Unhein Manzilon Ne Panaah Dee; Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya, Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye! |