Zindagi Khaak Na Thi, Khaak Uddatey Guzri; Tujhse Kya Kehtey Tere Pass Jo Atey Guzri; Din Jo Guzraa To Kisi Yaad Mein Guzra; Shaam Ayi To Koi Khawb Dikhatey Guzri! |
Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye They Chaar Din; Do Aarzu Mein Katt Gaye Do Intizaar Mein! |
Sheher Ki Be Chiraag Galiyon Mein; Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi Translation: Be Chiraag = Dark, Having No Light |
Hamein To Kaatni Hai Sham-e-Gham Mein Zindagi Apni; Jahan Woh Hain Wahin Aee Chaand Le Jaa Chaandni Apni! |
Waqt Do Mujh Par Kathin Guzre Hain Saari Umar Mein; Ek Tere Aane Se Pehle Ek Tere Jaane Ke Baad! |
Ittefaqan Jab Mil Jate Ho Rah Mein Tum Kabhi; Yoon Lagta Hai Kareeb Se Zindagi Jaa Rahi Ho Jaise! |
Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain; Dil Ki Bataein Tumse Chupi Kab Hain; Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga; Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai! |
Zindagi Jab Kisi Doraahe Par Laati Hai; Ek Ajeeb Si Kasamkash Mein Pad Jati Hai; Chunte Hai Hum Kisi Ek Raah Ko; Fir Kew Dusri Raah Bahut Yaad Aati Hai! |
Ush Hasti Se Jab Tak Koi Baat Nahi Hoti; Din Nahi Nikalta Or Raat Nahi Hoti; Na Ho Wo Khafa Kabhi Useh Kehna; Bina Uske Toh Mukamal Meri Zaat Nahi Hoti! |
Qabr Ki Mitti Haath Mein Liye Soch Raha Hoon; Log Marte Hain To Garoor Kahan Jata Hai! |