Wohi Ahal-e-Karwan Hain Wohi Be Hisi Ka Alam; Na Kisi Ko Manzil Na Gham-e-Shikasta Pani! |
Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye They Chaar Din; Do Aarzu Mein Katt Gaye Do Intizaar Mein! |
Sheher Ki Be Chiraag Galiyon Mein; Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi Translation: Be Chiraag = Dark, Having No Light |
Chupaaye Dil Mein Ajab Sa Ghubaar Bethe Hain; Najane Kese Tassawur Mein Yaar Bethe Hain; Luttaa Chuke Hain Murawwat Mein Zindagi Apni; Tere Liye To Anaa Ko Bhi Maar Bethe Hain! |
Koi Ro Ke Dil Bahlata Hai; Koi Hass Kar Dard Chhupata Hai; Kya Karamaat Hai Kudrat Ka; Zinda Insaan Paani Mein Doob Jaata Hai; Aur Murda Tair Ke Dikhata Hai! |
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi; Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi! |
Hamein To Kaatni Hai Sham-e-Gham Mein Zindagi Apni; Jahan Woh Hain Wahin Aee Chaand Le Jaa Chaandni Apni! |
Waqt Do Mujh Par Kathin Guzre Hain Saari Umar Mein; Ek Tere Aane Se Pehle Ek Tere Jaane Ke Baad! |
Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha; Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya; Magar Doston Ek Din Badala Lunga; Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya! |
Waqt Badal Jata Hai Insaan Badal Jate Hai; Waqt Waqt Pe Rishto Ke Andaaz Badal Jate Hai; Kabhi Keh Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya; Din Or Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai! |