Ittefaqan Jab Mil Jate Ho Rah Mein Tum Kabhi; Yoon Lagta Hai Kareeb Se Zindagi Jaa Rahi Ho Jaise! |
Zindagi Mein Jo Hum; Chahte Hai Wo Aasani Se Nahi Milta; Lekin Zindagi Ka Sach Yeh Hai Ki; Hum Bhi Wohi Chahte Hai, Jo Aasan Nahi Hota! |
Qabr Ki Mitti Haath Mein Liye Soch rahi Hoon; Log Marte Hain To Guroor Kahan Jata Hai! |
Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain; Dil Ki Bataein Tumse Chupi Kab Hain; Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga; Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai! |
Phool Bankar Muskarana Zindagi; Muskarake Gum Bhulana Zindagi; Jeet Kar Koi Khush Ho To Kya Hua; Haar Kar Khushiya Manana Bhi Zindagi! |
Ik Karb E Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta; Dil Sabar Ka Aadi Kabhi Rone Nahi Deta; Main Uska Hoon Ye Raaz To Woh Jaan Gaya Hai; Woh Kis Ka Hai Ehsaas Ye Hone Nahi Deta! |
Zindagi Jab Kisi Doraahe Par Laati Hai; Ek Ajeeb Si Kasamkash Mein Pad Jati Hai; Chunte Hai Hum Kisi Ek Raah Ko; Fir Kew Dusri Raah Bahut Yaad Aati Hai! |
Ush Hasti Se Jab Tak Koi Baat Nahi Hoti; Din Nahi Nikalta Or Raat Nahi Hoti; Na Ho Wo Khafa Kabhi Useh Kehna; Bina Uske Toh Mukamal Meri Zaat Nahi Hoti! |
Qabr Ki Mitti Haath Mein Liye Soch Raha Hoon; Log Marte Hain To Garoor Kahan Jata Hai! |
Elahi Teri Mukhlooq Ka Ajab Tamasha Dekha; Chalaktey Jaam Dekhey Samundar Ko Piyasa Dekha; Ye Kya Maajra Hai Apni To Samajh Main Nahi Aaya; Admi Apni Hi Justajoo Main Ulajhta Dekha! |