Jab Se Suna Hai Ki Marne Ka Naam Jindgi Hai; Sar Pe Qafan Liye Qaatil Ko Dhundhte Hein! |
Kitnaa Khouff Hota Hai Shaam Kay Andheroon Mein; Poonch Un Parindoo Say Jin Kay Gharr Nahi Hotay! |
Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye; Zindagi Tu Hi Bata Kaise Jina Chahiye; Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi; Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye! |
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai; Ehsaas Ki Lau Aur Bhi Barh Jaati Hai; Main Badhta Hoon Zindagi Ki Taraf Lekin; Zanjeer See Paon Mai Chanak Jaati Hai! |
Haath Mein Uske Kalam Ka Aana Acha Lagta Hai; Usko Bhi School Ko Jaana Acha Lagta Hai; Bada Kar Diya Ghardish Ne Waqt Se Pehle Warna; Sar Pe Kisko Bojh Uthana Acha Lagta Hai! |
Hasane Ke Baad Kyu Rulati Hai Duniya; Jaane Ke Baad Kyu Bhulati Hai Duniya; Zindagi Me Kya Koi Kasar Baaki Thi; Jo Mar Jaane Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya! |
Naraz Hona Aapse Galti Kehlayegi; Aapki Ruswaie Se Saanse Tham Jayengi; Haste Rehna Hamesha; Aapki Hasi Se Hamari Zindagi Savar Jayegi! |
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye; Maut Ki Raah Pe Khade Hai Par Kambakt Jeena Seekh Gaye; Ab To Is Zindgi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai; Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye! |
Har Lamha Apke Hothon Pe Muskan Rahe; Har Gum Se Aap Anjaan Rahen; Jiske Sath Mehak Uthe Aapki Zindgi; Hamsha Aapke Pass Woh Insan Rahe! |
Zindagi Ko Samajhna Hai To Mujhe Dekho; Keh Gaya Pani Ka Bulbula Jaate Jaate! |