Waqt Leta Hai Karvate Na Jaane Kaise Kaise; Umar Itni toh Nahi Thi Jitne Sabak Seekh Liye Hamne! |
Har Waqt Milti Rahti Hain Anjani Si Saza Mujhe; Main Kaise Poochun Taqdeer Se Mera Qasoor Kya Hai! |
Runj Se Khugar Hua Insaan To Mit Jaata Hai Runj; Mushkilein Mujh Par Padi Itni Ke Aasaan Ho Gayi! |
Har Gam Par Hai Majamaa-E-Ushshaaq Muntazir; Maqtal Ki Raah Milti Hai Kuu-E-Habeeb Se; Is Tarah Zindagi Ne Diyaa Hai Hamaara Saath; Jaise Koi Nibhaa Rahaa Ho Kisi Raqeeb Se! |
Andhere Ke Humsafar Ko Koi Yaad Nahi Kartaa; Subah Hote Hi Chiraagon Ko Bujha Dete Hain Sab Log! |
Chaaha Hai Tujhko Tere Taghaful Ke Bawajood; Aye Zindagi Tu Bhi Yaad Karegi Kabhi Humein! |
Zameen Bhi Paaon Nahi Rakhne Deti Humein Ab To; Humein Ye Zidd Hua Karti Thi Ki Ik Naya Aasmaan Banaayenge! |
Har Dua Gar Kabool Ho Jaaye; Aadmi Be-Usool Ho Jaaye; Vo To Ranj-O-Gham Raahaton Mein Shaamil Hain; Varnaa Insaan Malool Ho Jaaye! |
Zinda Rahein To Kya Hai, Jo Mar Jaayein Hum To Kya; Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jaayein Hum To Kya; Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaane Ke Saamne; Ek Khwab Hain Jahaan Mein Bikhar Jaayein Ham To Kya! |
Mil Ke Bichadna Dastoor Hai Zindagi Ka; Ek Ye Hi Kissa Mashur Hai Zindagi Ka; Beete Hue Pal Laut K Nai Aate; Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka! |