Chand Lamhon Mein Dekha Hai Hawaaon Ka Rukh Badalte Humne; Jo Kal Tak Karib Hua Karte The, Aaj Wohi Raqeeib Ho Gaye! |
Khaa Ke Thokar Bhi Na Sambhle To Musafir Ka Naseeb; Farz To Adaa Karte Hain Raah Ke Patthar Apna! |
Khushiyon Se Naraaz Hai Meri Zindagi; Pyaar Ki Mohtaaz Hai Meri Zindagi; Hans Leta Hun Logon Ko Dikhane Ke Liye; Warna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi! |
Aankhon Main Mahfuz Rakhna Sitaaron Ko; Ab Dur Talak Sirf Raat Hogi; Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hain; Kisi Naa Kisi Mod Par Phir Mulakaat Hogi! |
Koi Kuchh To Batlaao Kya Javaab Doon Aakhir; Ek Savaal Karta Hai Roz Mujhsey Ghar Mera! |
Manzil To Mil Hi Jayegi, Bhatak Kar Hi Sahi; Gumrah To Wo Hain, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi! |
Toofan Mein Taash Ke Ghar Nahi Bante; Rone Se Bigde Muqadar Nahi Swarte; Duniya Ko Jitne Ka Hausla Rakho; Ek Haar Se Koi Faqeer Aur Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Bante! |
Khushiya Batortey Batortey Umar Guzar Gayi; Par Khush Na Ho Sakey; Ek Din Ehsaas Hua Khush To Wo Log Hai, Jo Khushiya Baant Rahey Hai! |
Zinda Hai Magar Jinne Ka Iraada Badal Diya; Waqt Ke Tufaan Ne Har Ek Vaada Badal Diya; Chal Sake Kissi Ke Sath Iss Kabil Na Rahe Aab; Thokaron Ne Hame Itna Jayada Badal Diya! |
Aankhon Ki Hoti Hai Khata, Aur Saza Dil Ko Mil Jaati Hai; Pucho Na Yaaro Pal Mein Hi Kaise Zindagi Badal Jaati Hai! |