Zindagi Jeena Aasaan Nahi Hota; Bina Sangharsh Ke Koi Mahaan Nahi Hota; Jab Tak Na Pade Hathode Ki Chot; Pathar Bhi Bhagwaan Nahi Hota! |
Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai; Her Kissi Ko Kissi Na Kissi Ki Talash Hai; Kissi Ke Pass Manzil Hai, Toh Raah Nahi; Aur Kissi Ke Pass Rah Hai, Toh Manzil Nahi! |
Kissi Se Aggar Juda Hona Itna Aasan Hota; Toh Jism Se Rooh Ko Lene Kabhi Farishte Na Aate! |
Surma-e-Muft-e-Nazar Hoon, Meri Qeemat Yeh Hai; Ke Rahe Chashm-e-Khareedaar Pe Ehsaan Mera! |
Rone Se Kissi Ko Paya Nahi Jata; Khone Se Kissi Ko Bhulaya Nahi Jata; Waqt Sabko Milta Hai Zindaagi Badalane Ke Liye; Par Zindagi Nahi Milti Waqt Badalne Ke Liye! |
Ghalib Bura Na Maan Jo Vaiz Bura Kahe; Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Acha Kahein Jisse! |
Qahar To Yeh Hai Ke Kafir Ko Milein Hoor-o-Qasoor; Aur Bechaare Musalmaan Ko Faqt Waada-e-Hoor! Translation: How cruel that Kafirs are granted houries here on earth; The poor Muslims have to wait for the promised nymphs above! |
Basa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigah; Ji Mein Kahte Hein Ke Muft Haath Aaey, Tau Maal Achha Hai! Translation He has his eyes on my heart, but doesn't yield a kiss; The stuff is good, he seems to think, if it comes gratis! |
Saari Zindgaani Humne Bita Di; Unka Ikraar-e-Ishq Itna Mushkil To Na Tha; Hum Ikraar Karte Rahe, Wo Inkaar Karte Gaye! |
Maut Ke Baad Bhi Yaad Aa Raha Hai Koi; Mitti Meri Kabr Se Utha Raha Hai Koi; Ai Khuda, Do Pal Ki Zindagi Aur De De; Meri Kabr Se Udaas Ja Raha Hai Koi! |