Na Khushi Khareed Pata Hun, Na Gham Bech Pata Hun; Phir Bhi Na Jaane Kyon Main; Har Roz Kamane Jaata Hun! |
Dariya Dariya Ghume Manjhi Pet Ki Aag Bujhane; Pet Ki Aag Mein Jalne Wala Kis Kis Ko Pehchane! |
Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise; Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha! |
Sahmne Manzil To Raaste Na Modna, Jo Mann Mein Ho Woh Khwaab Na Todna; Har Kadam Par Milegi Safalta, Bas Aasman Chhune Ke Liye Zameen Na Chhodna! |
Chhod Diya Mujhko Aaj Meri Maut Ne Yeh Kah Kar, Ho Jao Jab Zinda, To Khabar Kar Dena! |
Na Gila Hai Koi Halaat Se, Na Shikayatien Kisi Ki Zaat Se; Khud He Sare Lafz Judaa Ho Rahe Hain Meri Zindagi Ki Kitab Se! |
Zindagi Yun Hui Basar Tanha, Qafila Saath Aur Safar Tanha; Apne Saye Se Chaunk Jaate Hain, Umar Guzri Hai Is Qadar Tanha! |
Koi Na Aayega Tere Siwa Meri Zindgi Mein 'Faraz'; Ek Maut Hi Hai Jiss Ka Hum Vaada Nahi Karte! |
Kaun Kehta Hai Ki Maut Aayi Toh Mar Jaun Ga; Main Toh Darya Hun Samandar Mein Utar Jaun Ga! |
Kiya Baadlon Mein Safar Zindagi Bhar; Zameen Pe Banaya Na Ghar Zindagi Bhar! Safar: Travel, Journey |