Maana Ki Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main; Tu Mera Shauq Dekh Mera Intezar Dekh! |
Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain; Ye Aashiq Kaun Si Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain! |
Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De; Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi; Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu; Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi! Meaning: Aashna = Introduce Behar = Sea Iztrab = Restlessness Faraa g = Freeness Kitaab-Khawan = Reader of book Sahib-e-Kitaab = Owner of book |
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai; Par Nahin Taqat-e-Parvaz Magar Rakhti Hai! |
Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta; Ki Main Khud Bhi To Hoon 'Iqbal' Apne Nukta-Cheeno Mein! |
Dekh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pe Iqbal; Jo Lahoo Se Tameer Hue The, Paani Se Bah Gaye! |
Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi; Yeh Btaa Kis Se Mohabbat Ki Jaza Mange Ga! |
Khuda To Milta Hai, Insaan Hi Nahin Milta; Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine! |
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai; Un Ka Har Aaib Bhi Zamaane Ko Hunar Lagta Hai! Translation: Shajar = Tree Aaib = Weakness |
Ishq Qaatil Say Bhi, Maqtool Say Hamdardi Bhi; Yeh Bta Kis Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga; Sajda Khaaliq Ko Bhi, Iblees Say Yarana Bhi; Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga! |