Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai, Par Nahi Taqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai! |
Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai; Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai; Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaak Mein Pinhan; Gafil Tu Nira Sahib-e-Idraak Nahi Hai; Wo Aankh Ke Hai Surma-e-Afarng Se Roshan; Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai; Kya Sufi O Mulla Ko Khabar Mere Junoon Kee; Un Ka Sar-e-Daman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai; Kab Tak Rahe Mahkumi-e-Anjum Mein Meri Khaak; Ya Main Nahi Ya Gardish-e-Aflaak Nahi Hai; Bijli Hun Nazar Koh O Bayaban Pe Hai Meri; Mere Liye Shayaan Khas O Khaashak Nahi Hai; Aalam Hai Faqat Momin-e-Janbaz Kee Meeras; Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulak Nahi Hai! |
Maana Ki Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main; Tu Mera Shauq Dekh Mera Intezar Dekh! |
Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain; Ye Aashiq Kaun Si Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain! |
Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai; Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai; Hai Zauq-e-Tajali Bhi Isi Khaak Mein Pinaha; Gaafil Tu Nira Sahib-e-Idrak Nahi Hai; Wo Aankh Ki Hai Surma-e-Afarang Se Roshan; Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai; Kya Sufi-O-Mullaa Ko Khabar Mere Junoon Kee; Un Ka Sar-e-Daaman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai; Kab Tak Rahe Mahakumi-e-Anjum Mein Meri Khaak; Yaa Main Nahi Yaa Gardish-e-Aflaak Nahi Hai; Bijli Hun Nazar Koh O Bayaabaan Pe Hai Meri; Mere Liye Shayan Khaas-o-Khashak Nahi Hai; Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaanbaaz Kee Meeraas; Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulaak Nahi Hai! |
Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De; Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi; Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu; Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi! Meaning: Aashna = Introduce Behar = Sea Iztrab = Restlessness Faraa g = Freeness Kitaab-Khawan = Reader of book Sahib-e-Kitaab = Owner of book |
Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-e-Alam; Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain! Translation: Firm certainty, eternal action, the love that conquers the world, These are the swords of men in the holy war of life! |
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai; Par Nahin Taqat-e-Parvaz Magar Rakhti Hai! |
Jab Ishq Sikhata Hai Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab-e-Khud-Aagahi; Khulte Hain Ghulamon Par Asaraar-e-Shahanshahi; 'Attaar' Ho 'Rumi' Ho 'Raazi' Ho 'Ghazaali' Ho; Kuch Haath Nahin Aataa Be-Aah-Sahar-Gaahi; Naumeed Na Ho In Se Ai Rah-Bar-e-Farzaana; Kam-Kosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi; Ai Tayar-e-Lahooti Us Rizq Se Maut Achhhi; Jis Rizq Se Aati Ho Parvaaz Mein Kotahi; Daara o Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aulaa; Ho Jiski Faqeeri Mein Boo-e-Asadool-Laahi; Aaeen-e-Jawan Mardaan Haq-Goyi o Be-Baaki; Allaah Ke Sheron Ko Aati Nahin Roobahi! |
Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta; Ki Main Khud Bhi To Hoon 'Iqbal' Apne Nukta-Cheeno Mein! |