Ai Maut Aa Ke Humko Khamosh Toh Kar Gayi Tu; Magar Sadiyon Dilon Ke Andar, Hum Goonjte Rahenge! |
Ae Maut Aa Ke Hum Ko Khamosh Toh Kar Gayi Tu; Magar Sadiyon Dilon Ke Andar, Hum Goonjte Rahenge! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kade Mein Firaq; Jab Pee Chuke Sharaab To Sanjeeda Ho Gaye! |
Bahut Pehle Se Un Kadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kane Mein 'Firaq', Jab Pi Chuke Sharab To Sanjida Ho Gaye! |
Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai; Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain! |
Gharaz Ki Kaat Diye Zindagi Ke Din Ai Dost, Wo Teri Yaad Mein Hon Ya Tujhe Bhulane Mein! |
Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai; Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |
Abhi To Zikr-e-Sehar Dosto Hai Door Kee Baat; Abhi To Dekhte Jao Badi Udaas Hai Raat! |