Abhi To Zikar-e-Sehar Dosto Hai Door Kee Baat; Abhi To Dekhte Jao Badi Udaas Hai Raat! |
Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |
Tum Ise Shikwa Samajh Kar Kis Liye Sharma Gaye; Muddaton Ke Baad Dekha Tha To Aansu Aa Gaye! |
Phir Aaj Ashk Se Ankhon Mein Kyun Hain Aye Hue; Guzar Gya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue! |
Muddatein Guzreen Teri Yaad Bhi Aayi Na Humein; Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhey Aisa Bhi Nahi; Sar Mein Sauda Bhi Naheen Dil Mein Tamanna Bhi Nahi; Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi! Tark-E-Mohabbat = Abandonment of Love |