Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai; Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |
Abhi To Zikr-e-Sehar Dosto Hai Door Kee Baat; Abhi To Dekhte Jao Badi Udaas Hai Raat! |
Abhi To Zikar-e-Sehar Dosto Hai Door Kee Baat; Abhi To Dekhte Jao Badi Udaas Hai Raat! |
Raat Aadhi Se Jyada Gayi Thi, Sara Aalam Sota Tha; Naam Tera Le Le Kar Koi Dard Ka Maara Rota Tha; Charagaron, Ye Taskin Kaisi, Main Bhi Hun Is Duniya Mein; Unko Aisa Dard Kab Utha, Jinko Bachana Hota Tha; Kuch Ka Kuch Keh Jata Tha Main Furkat Kee Betabi Mein; Sunane Wale Hans Padte The Hosh Mujhe Tab Aata Tha; Tare Aksar Doob Chale The, Raat Ko Rone Walo Ko; Aane Lagi Thi Neend Si Kuch, Duniya Mein Savera Hota Tha; Tark-e-Mohabbat Karne Walo, Kaun Aisa Jag Jeet Liya; Ishq Ke Pehle Ke Din Socho, Kaun Bada Sukh Hota Tha; Uske Aansu Kisne Dekhe, Uski Aahein Kisne Suni; Chaman Chaman Tha Husn Bhi Lekin Dariya Dariya Rota Tha; Pichala Pahar Tha Hizr Kee Shab Ka, Jagta Rab, Sota Insan; Taaron Kee Chanv Mein Koi 'Firaq' Sa Moti Pirota Tha! |
Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |
Tum Ise Shikwa Samajh Kar Kis Liye Sharma Gaye; Muddaton Ke Baad Dekha Tha To Aansu Aa Gaye! |
Aayi Hai Kuch Na Puch Aayi Hai Kuch Na Puch Qayamat Kahan Kahan; Uff Le Gayi Hum Ko Mohabbat Kahan Kahan; Betabi-o-Sakoon Kee Hui Manzilein Tamaam; Behlaayein Tujh Se Choot Ke Tabiyat Kahan Kahan; Raah-e-Talaab Mein Chor Diya Dil Ka Sath Bhi; Phirte Liye Hue Yeh Museebat Kahan Kahan; Begaangi Pe Uss Kee Zamaane Se Aitraaz; Dar Parda Uss Kee Shikayat Kahan Kahan; Hosh-o-Junoon Bhi Bas Ab To Ek Baat Hain 'Firaq'; Hoti Hai Uss Shararat Kee Nazar Kahan Kahan! |
Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyun Ho; Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyun Kar Na Pareshan Ho Jaye! |