Ai Maut Aa Ke Humko Khamosh Toh Kar Gayi Tu; Magar Sadiyon Dilon Ke Andar, Hum Goonjte Rahenge! |
Ae Maut Aa Ke Hum Ko Khamosh Toh Kar Gayi Tu; Magar Sadiyon Dilon Ke Andar, Hum Goonjte Rahenge! |
Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyon Ho; Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyon Kar Na Pareshan Ho Jaye! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kade Mein Firaq; Jab Pee Chuke Sharaab To Sanjeeda Ho Gaye! |
Bahut Pehle Se Un Kadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |
Yeh Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Chirag,
Tere Khyal Kee Khushboo Se Bas Rahe Hain Dimag; Dilon Ko Tere Tabassum Kee Yaad Yun Aayi, Ki Jagmaga Uthe Jis Tarah Mandiron Mein Chirag; Tamaam Shola-E-Gul Hai Tamaam Mauj-E-Bahaar, Ki Taa-Had-E-Nigaah-E-Shauq Lahlahate Hain Baag; Nayi Zameen, Naya Aasmaan, Nayi Duniya, Suna To Hai Ki Mohabbat Ko In Dinon Hai Farag; Dilon Mein Daag-E-Mohabbat Ka Ab Yeh Aalam Hai, Ki Jaise Neend Mein Doobe Hon Pichali Raat Chirag; Firaq Bazm-E-Chiragan Hai Mehfil-E-Rindan, Saje Hain Pighli Hui Aag Se Chalkate Ayaag! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kane Mein 'Firaq', Jab Pi Chuke Sharab To Sanjida Ho Gaye! |
Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai; Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain! |
Gharaz Ki Kaat Diye Zindagi Ke Din Ai Dost, Wo Teri Yaad Mein Hon Ya Tujhe Bhulane Mein! |
Nigahein Naaz Ne Parde Uthaye Hain Kya-Kya; Hijaab Ahle Mohabbat Ko Aaye Hain Kya-Kya; Jahaan Mein Thi Bas Ek Afwah Tere Jalwon Kee; Charag-e-Dair-o-Haram Jhilmilaein Hai Kya-Kya; Kahin Charag, Kahin Gul, Kahin Dil Barbaad; Kheramein Naaz Ne Kitne Uthaye Hain Kya-Kya; Payamein Husn, Payamein Junoon, Payamein Fana; Teri Nigah Ne Phasane Sunaye Hain Kya-Kya; 'Firaq' Raahe Wafa Mein Sabak Ravi Teri; Bade Badon Ke Kadam Dagmagaein Hain Kya-Kya! |