Khoob Hai Shaunk Ka Ye Pehlu Bhi; Main Bhi Barbaad Ho Gaya Tu Bhi! |
Daad-o-Tahseen Ka Ye Shor Hai Kyun; Hum Toh Khud Se Kalaam Kar Rahe Hain! |
Tujhse Pahle Bhi Kayi Zakhm The Seene Mein Magar, Ab Ke Woh Dard Hai Ke Ragein Tootti Hain! |
Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaq Se, Poochhenge Apna Haal Teri Beabsi Hum! |
Chaha Tha Mukammal Ho Mere Gham Ki Kahani, Main Likh Na Saka Kuchh Bhi Tere Naam Se Aage! |
Tanha Rehna To Seekh Liya Humne, Par Khush Na Kabhi Reh Payenge; Teri Doori To Phir Bhi Seh Leta Hai Yeh Dil, Par Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge! |
Judaiyon Ke Tasawuur Hi Se Rulaun Use; Main Jhooth-Mooth Ka Qissa Koi Sunaun Use! Tasawuur: Thought |
Ishara Toh Madad Ka Kar Raha Tha Doobne Wala; Magar Yaran-e Sahal Ne Salaam Alvida Samjha! |
Awaaz Mein Thehrao Tha Aankhon Mein Nami Thi; Aur Keh Raha Tha Maine Sab Kuch Bhula Diya! |
Kabhi Sehar Toh Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se; Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se! |