Tujhe Khwabon Mein Pakar Dil Ka Qarar Kho Jata Hai, Main Jitna Rokun Khud Ko Tujhse Pyar Ho Hi Jata Hai! |
Uske Chehre Par Is Kadar Noor Tha, Ki Uski Yaad Me Rona Bhi Manjur Tha, Bewafa Bhi Nahin Kah Sakte Usko Faraj, Pyar To Hamne Kiya Hai Woh To Bekasur Tha! |
Usne Mujhse Kaha, Main Tumhein Bhool Jaungi; Mujhe Achha Laga Yeh Jaankar Ki Main Usko Kabhi To Yaad Tha! |
Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinaara Nahi; Tu Aabju Ise Samajha Agar To Chaara Nahin! Khudi: Sense of Self Bahar: Sea, A poetic meter Aabju: Rivulet |
Wasif Ye Kis Muqam Pe Laya Mujhe Junoon; Ab Unki Just-Ju Na Apni Talaash Hai! |
Kitne Tohfe Deti Hai Ye Mohabbat Bhi Ruswai Alag Judai Alag Tanhai Alag! |
Kami Kami Si Thi Kuch Rang-o-Boye Gulshan Mein; Lab Bahar Se Nikli Hui Dua Tum Ho! |
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mitta; Bheegi Hoyi Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhein! |
Khud-Darion Ke Khoon Ko Arzan Na Kar Sake; Hum Apne Johron Ko Namyan Na Kar Sake; Kis Darza Dil Shakan They Mohabbat Ke Haadse; Hum Zindagi Mein Phir Koi Arman Na Kar Sake! |
Marne Ka Tere Gham Mein Iraada Bhi Nahi Hai; Hai Ishq Magar Itna Zyaada Bhi Nahi Hai! |