Maana Ki Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main; Tu Mera Shauq Dekh Mera Intezar Dekh! |
Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai; Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota; Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya; Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota! |
Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha; Is Raat Kee Taqdeer Badal Sanwar Jaye To Achha; Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai; Baki Bhi Isi Tarah Guzar Jaye To Achha! |
Tum Suno Ya Na Suno Haath Badhao Na Badhao; Doobte Doobte Ek Bar Pukarenge Tumhein! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Tujhe Inkar Hai Mujse Mujhe Iqraar Hai Tujhse; Tu Khafa Hai Mujse Mujhe Chahat Hai Tujhse; Tu Mayoos Hai Mujhse Mujhe Khushi Hai Tujhse; Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyaar Hai Tujhse! |
Yeh Din Raat Yeh Lamhe Mujhe Achhe Se Lagte Hain; Tumhein Sochun To Saare Silsile Achhe Se Lagte Hain! |
Nigahon Se Wo Is Dil Mein Samaye; Jab Ashk Bahe To Palko Par Aaye; Dar Hai Kahin Wo Kho Hi Na Jaye; Palko Ko Ab Hum Kaise Jhukaye! |
Kabhi Alfaaz Bhool Jaun Kabhi Khyaal Bhool Jaun; Tujhe Is Kadar Chahun Ki Apni Saans Bhool Jaun; Uth Kar Tere Paas Se Jo Main Chal Dun; To Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun! |
Do Baatein Unse Kee To Dil Ka Dard Kho Geya; Logon Ne Humse Pucha Ke Tumhein Kya Ho Geya; Bekarar Aankhon Se Sirf Hans Ke Reh Geya; Ye Bhi Na Keh Sake Ki Humein Pyaar Ho Geya! |