Dil Ko Phir Ummeed Garmane Lagi, Phir Mujhe Duniya Nazar Aane Lagi; Dil Pe Daali Hai Kisi Ne Phir Nigaah, Saans Phir Aane Lagi Jaane Lagi! |
Ishq Maashuq Ishq Ashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! * Mubtala: Afflicted, Distressed |
Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum; Muddat Hui Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye, Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachayein Hum! |
Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil; Sabz Mausam Karb Ka Hai Mustaqil! |
Ulfat Mein Barabar Hai Wafa Ho Ki Jafa Ho; Har Baat Mein Lazzat Hai Agar Dil Mein Maza Ho! *Jafa: Violence, Injustice *Lazzat: Taste, Flavour |
Madhoshiyon Se Kaam Liya Hai Kabhi Kabhi; Haath Un Ka Hum Ne Thaam Liya Hai Kabhi Kabhi! |
Qadmon Pe Dar Ke Rakh Diya Sar Taki Uth Na Jayen; Naraz Dil-Lagi Mein Jo Vo Ik Zarra Hue! *Zarra: A Bit |
Abhi Samjhayen Kya Tum Ko Abhi Tum Ishq Mein Ho; Abhi To Bas Duayen Lo Abhi Tum Ishq Mein Ho! |
Ishq Hota Hai Kya Pata Hota; Gar Parindon Se Vaasta Hota! |
Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan; Lafz Ke Maani Pe Qaayam Saare Rishton Ka Nishan! |