Miscellaneous Shayari

• Kamre Mein Phailta Raha Cigarette Ka Dhuan;

Main Band Khidkiyon Ki Taraf Dekhta Raha!Upload to Facebook
Kamre Mein Phailta Raha Cigarette Ka Dhuan;
Main Band Khidkiyon Ki Taraf Dekhta Raha!
~ Kafeel Aazar Amrohvi
• Bahut Ghuroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par;

Jo Meri Pyaas Se Uljhe To Dhajjiyan Ud Jayen!Upload to Facebook
Bahut Ghuroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par;
Jo Meri Pyaas Se Uljhe To Dhajjiyan Ud Jayen!
~ Rahat Indori
• Hum Log Na Nikle To Safar Kaun Karega;

Duniya Ko Haqeeqat Ki Khabar Kaun Karega!Upload to Facebook
Hum Log Na Nikle To Safar Kaun Karega;
Duniya Ko Haqeeqat Ki Khabar Kaun Karega!
~ Pakiza Beg
• Kabhi Sab Cheen Leta Hun Kabhi Niyamat Lutata Hun;

Mujhe Sab Waqt Kehte Hain Main Ungli Par Nachata Hun!Upload to Facebook
Kabhi Sab Cheen Leta Hun Kabhi Niyamat Lutata Hun;
Mujhe Sab Waqt Kehte Hain Main Ungli Par Nachata Hun!
~ Pallavi Mishra
• Sakht Vahshat Si Barasti Hai Shab-o-Roz Yahan;

Ab To Ghaugha-e-Sagan Tak Mein Asar Koi Nahin!

*Sakht Vahshat: Hard, Fear

*Shab-o-Roz: Night and day, Always, All the time

*Ghaugha-e-Sagan: Brouhaha, Din Of DogsUpload to Facebook
Sakht Vahshat Si Barasti Hai Shab-o-Roz Yahan;
Ab To Ghaugha-e-Sagan Tak Mein Asar Koi Nahin!

*Sakht Vahshat: Hard, Fear
*Shab-o-Roz: Night and day, Always, All the time
*Ghaugha-e-Sagan: Brouhaha, Din Of Dogs
~ Jafar Askari
• Aandhi Ka Kar Khayal Na Tevar Hawa Ke Dekh;

Deewar Ret Ki Sahi Unchi Utha Ke Dekh!Upload to Facebook
Aandhi Ka Kar Khayal Na Tevar Hawa Ke Dekh;
Deewar Ret Ki Sahi Unchi Utha Ke Dekh!
~ Sabir Zahid
• Us Ke Asbaab Se Nikla Hai Pareshan Kaghaz;

Baat Itni Thi Magar Khoob Uchhali Hum Ne!Upload to Facebook
Us Ke Asbaab Se Nikla Hai Pareshan Kaghaz;
Baat Itni Thi Magar Khoob Uchhali Hum Ne!
~ Manzar Naqvi
• Lafz-o-Manzar Mein Maani Ko Tatola Na Karo;

Hosh Wale Ho To Har Baat Ko Samjha Na Karo!

*Maani: MeaningsUpload to Facebook
Lafz-o-Manzar Mein Maani Ko Tatola Na Karo;
Hosh Wale Ho To Har Baat Ko Samjha Na Karo!

*Maani: Meanings
~ Mahmood Ayaz
• Ye Dasht Wo Hai Jahan Rasta Nahi Milta;

Abhi Se Laut Chalo Ghar Abhi Ujala Hai!

*Dasht: ForestUpload to Facebook
Ye Dasht Wo Hai Jahan Rasta Nahi Milta;
Abhi Se Laut Chalo Ghar Abhi Ujala Hai!

*Dasht: Forest
~ Akhtar Saeed Khan
• Kinare Hi Se Toofan Ka Tamasha Dekhne Wale;

Kinare Se Kabhi Andaza-e-Toofan Nahi Hota!Upload to Facebook
Kinare Hi Se Toofan Ka Tamasha Dekhne Wale;
Kinare Se Kabhi Andaza-e-Toofan Nahi Hota!
~ Jagan Nath Azad
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT