Deewarein Chhoti Hoti Thi Lekin Parda Hota Tha; Taalon Ki Izaad Se Pehle Sirf Bharosa Hota Tha! |
Vaade Ka Aitibar To Hai Vaqayi Mujhe; Ye Aur Baat Hai Ki Hansi Aa Gayi Mujhe! |
Wafa Karenge Nibhayenge Baat Manenge; Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kis Ka Tha! |
Jo Rehne Wale Hain Log Un Ko Ghar Nahi Dete; Jo Rehne Wala Nahi Us Ke Ghar Banate Hain! |
Ye Hum Jo Auron Ke Dukh Ka Theka Liye Hue Hain; Kisi Ne Is Ka Maaal Puchha To Kya Kahenge! *Maaal: Result |
Har Shab-e-Gham Ki Sahar Ho Ye Zaroori Hai Magar; Sab Ki Tabinda Sahar Ho Ye Zaroori To Nahin! *Tabinda: Shining bright, luminous |
Dil Ko Kitna Samjhaya Hai Sab Maya Hai; Kaun Kisi Ka Ho Paya Hai Sab Maya Hai! |
Jism To Mitti Mein Milta Hai Yahin Marne Ke Baad; Us Ko Kya Royen Jo Marta Hi Nahi Marne Ke Baad! |
Kai Sapne Adhure Reh Gaye Hain; Meri Mutthi Mein Lamhe Reh Gaye Hain! |
Agar Fursat Mile Paani Ki Tahriron Ko Padh Lena; Har Ik Dariya Hazaron Saal Ka Afsana Likhta Hai! |