Miscellaneous Shayari

• Deewarein Chhoti Hoti Thi Lekin Parda Hota Tha;

Taalon Ki Izaad Se Pehle Sirf Bharosa Hota Tha!Upload to Facebook
Deewarein Chhoti Hoti Thi Lekin Parda Hota Tha;
Taalon Ki Izaad Se Pehle Sirf Bharosa Hota Tha!
~ Azhar Faragh
• Vaade Ka Aitibar To Hai Vaqayi Mujhe;

Ye Aur Baat Hai Ki Hansi Aa Gayi Mujhe!Upload to Facebook
Vaade Ka Aitibar To Hai Vaqayi Mujhe;
Ye Aur Baat Hai Ki Hansi Aa Gayi Mujhe!
~ Nakhshab Jaarchawi
• Wafa Karenge Nibhayenge Baat Manenge;

Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kis Ka Tha!Upload to Facebook
Wafa Karenge Nibhayenge Baat Manenge;
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kis Ka Tha!
~ Daagh Dehlvi
• Jo Rehne Wale Hain Log Un Ko Ghar Nahi Dete;

Jo Rehne Wala Nahi Us Ke Ghar Banate Hain!Upload to Facebook
Jo Rehne Wale Hain Log Un Ko Ghar Nahi Dete;
Jo Rehne Wala Nahi Us Ke Ghar Banate Hain!
~ Aabid Adeeb
• Ye Hum Jo Auron Ke Dukh Ka Theka Liye Hue Hain;

Kisi Ne Is Ka Maaal Puchha To Kya Kahenge!

*Maaal: ResultUpload to Facebook
Ye Hum Jo Auron Ke Dukh Ka Theka Liye Hue Hain;
Kisi Ne Is Ka Maaal Puchha To Kya Kahenge!

*Maaal: Result
~ Kabeer Athar
• Har Shab-e-Gham Ki Sahar Ho Ye Zaroori Hai Magar;

Sab Ki Tabinda Sahar Ho Ye Zaroori To Nahin!

*Tabinda: Shining bright, luminousUpload to Facebook
Har Shab-e-Gham Ki Sahar Ho Ye Zaroori Hai Magar;
Sab Ki Tabinda Sahar Ho Ye Zaroori To Nahin!

*Tabinda: Shining bright, luminous
~ Habeeb Hashmi
• Dil Ko Kitna Samjhaya Hai Sab Maya Hai;

Kaun Kisi Ka Ho Paya Hai Sab Maya Hai!Upload to Facebook
Dil Ko Kitna Samjhaya Hai Sab Maya Hai;
Kaun Kisi Ka Ho Paya Hai Sab Maya Hai!
~ Yahya Khan Yusuf Zai
• Jism To Mitti Mein Milta Hai Yahin Marne Ke Baad;

Us Ko Kya Royen Jo Marta Hi Nahi Marne Ke Baad!Upload to Facebook
Jism To Mitti Mein Milta Hai Yahin Marne Ke Baad;
Us Ko Kya Royen Jo Marta Hi Nahi Marne Ke Baad!
~ Ganesh Bihari Tarz
• Kai Sapne Adhure Reh Gaye Hain;

Meri Mutthi Mein Lamhe Reh Gaye Hain!Upload to Facebook
Kai Sapne Adhure Reh Gaye Hain;
Meri Mutthi Mein Lamhe Reh Gaye Hain!
~ Nadeem Farrukh
• Agar Fursat Mile Paani Ki Tahriron Ko Padh Lena;

Har Ik Dariya Hazaron Saal Ka Afsana Likhta Hai!Upload to Facebook
Agar Fursat Mile Paani Ki Tahriron Ko Padh Lena;
Har Ik Dariya Hazaron Saal Ka Afsana Likhta Hai!
~ Bashir Badr
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT