Kamre Mein Phailta Raha Cigarette Ka Dhuan; Main Band Khidkiyon Ki Taraf Dekhta Raha! |
Bahut Ghuroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par; Jo Meri Pyaas Se Uljhe To Dhajjiyan Ud Jayen! |
Hum Log Na Nikle To Safar Kaun Karega; Duniya Ko Haqeeqat Ki Khabar Kaun Karega! |
Kabhi Sab Cheen Leta Hun Kabhi Niyamat Lutata Hun; Mujhe Sab Waqt Kehte Hain Main Ungli Par Nachata Hun! |
Sakht Vahshat Si Barasti Hai Shab-o-Roz Yahan; Ab To Ghaugha-e-Sagan Tak Mein Asar Koi Nahin! *Sakht Vahshat: Hard, Fear *Shab-o-Roz: Night and day, Always, All the time *Ghaugha-e-Sagan: Brouhaha, Din Of Dogs |
Aandhi Ka Kar Khayal Na Tevar Hawa Ke Dekh; Deewar Ret Ki Sahi Unchi Utha Ke Dekh! |
Us Ke Asbaab Se Nikla Hai Pareshan Kaghaz; Baat Itni Thi Magar Khoob Uchhali Hum Ne! |
Lafz-o-Manzar Mein Maani Ko Tatola Na Karo; Hosh Wale Ho To Har Baat Ko Samjha Na Karo! *Maani: Meanings |
Ye Dasht Wo Hai Jahan Rasta Nahi Milta; Abhi Se Laut Chalo Ghar Abhi Ujala Hai! *Dasht: Forest |
Kinare Hi Se Toofan Ka Tamasha Dekhne Wale; Kinare Se Kabhi Andaza-e-Toofan Nahi Hota! |