Hum Aise Log Kahan Manzilon Ko Paate Hain; Hum Aise Log Faqat Raaste Banate Hain! |
Huzur Aap Koi Faisla Karen To Sahi; Hain Sar Jhuke Hue Darbar Bhi Laga Hua Hai! |
Main Aag Dekhta Tha Aag Se Juda Kar Ke; Bala Ka Rang Tha Rangeeni-e-Qaba Se Udhar! |
Dard Se Dil Ne Vaasta Rakha; Waqt Badlega Haunsla Rakha! |
Kuch Nahin Chahiye Tujh Se Ai Meri Umr-e-Ravan; Mera Bachpan Mere Jugnu Meri Gudiya La De! |
Gul Ke Hone Ki Tavaqqo Pe Jiye Baithi Hai; Har Kali Jaan Ko Mutthi Mein Liye Baithi Hai! |
Maqam 'Faiz' Koi Raah Mein Jacha Hi Nahin; Jo Ku-e-Yaar Se Nikle To Su-e-Daar Chale! |
Maza Aata Agar Guzri Hui Baton Ka Afsana; Kahin Se Tum Bayan Karte Kahin Se Hum Bayan Karte! |
Waqif Kahan Zamana Hamari Udaan Se; Wo Aur The Jo Haar Gaye Aasman Se! |
Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahi Hun; Bazar Se Guzra Hun Khareedar Nahi Hun! |