Main Na Kehti Thi Udaasi Ke Siwa Kuch Bhi Nahi; Aap Ne Dekha Mera Veeran Ghar Kaisa Laga! |
Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti; Khud Ko Itni Bhi Aziyyat Nahi Di Ja Sakti! *Aziyyat: Trouble, Torment, Difficulty |
Samjha Liya Fareb Se Mujh Ko To Aap Ne; Dil Se To Puch Lijiye Kyun Be-Qarar Hai! |
Meri Rusvai Ke Asbab Hain Mere Andar; Aadmi Hun So Bahut Khwab Hain Mere Andar! |
Bas Ik Jhijhak Hai Yahi Hal-e-Dil Sunane Mein; Ki Tera Zikr Bhi Aayega Is Fasane Mein! |
Wo Tere Gham Ko Pehchane Nahi Hain; Abhi Apno Mein Begane Nahi Hain! |
Hamare Sabr Ka Ik Imtihan Baaki Hai; Isi Liye To Abhi Tak Ye Jaan Baaki Hai! |
Us Ko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha; Sara Ghar Le Gaya Ghar Chhod Ke Jaane Wala! |
Ibtida Wo Thi Ki Jeena Tha Mohabbat Mein Muhal; Inteha Ye Hai Ki Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya! *Ibtidaa: Beginning/Starting/Origin |
Jaanta Hun Ek Aise Shakhs Ko Main Bhi 'Muneer'; Gham Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahi! |