Na Kar Dil Azaari Na Ruswa Kar Mujhe; Jurm Bata, Saza Suna, Ya Phir Khatam Kar Mujhe! |
Ek Ye Bhi Bharam Tuta Milne Ko Wo Na Aaya Humse, Kya Guzri Dil Pe Kabhi Puchne Na Aaya Humse; Pehle Bhi Yun Usne Tode Hain Kayi Vaade, Humse Na Bura Mana Na Humko Malaal Aaya Unse! |
Ek Ghazal Tere Liye Zaroor Likhunga, Be-Hisaab Us Mein Tera Kasoor Likhunga; Toot Gaye Bachpan Ke Tere Saare Khilaune, Ab Logon Ke Dilon Se Khelna Tera Dastoor Likhunga! |
Mile Toh Hazaaro Log The Zindagi Mein Yaaro; Woh Sab Se Alag Tha Jo Qismat Mein Nahi Tha! |
Jab Gila Shikwa Apno Se Hi Ho Toh Khamoshi Bhali, Ab Har Baat Par Jung Ho Zaroori To Nahi! |
Wafa Ki Zanzeer Se Dar Lagta Hai, Kuch Apni Taqdeer Se Dar Lagta Hai, Jo Mujhe Tujhse Juda Karti Hai, Haath Ki Us Lakeer Se Dar Lagta Hai! |
Hans Kar Qubool Kya Kar Li Sajayen Maine, Zamane Ne Dastur Hi Bana Diya Har Ilzaam Mujh Par Madhne Ka! |
Ajeeb Raat Thi Kal Tum Bhi Aa Ke Laut Gaye; Jab Aa Gaye The Toh Pal Bhar Thehar Gaye Hote! |
Ai Dost Hum Ne Tark-e-Mohabbat Ke Bawajud; Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi! |
Ahl-e-Hawas To Khair Hawas Mein Hue Zalil; Woh Bhi Hue Kharab, Mohabbat Jinhon Ne Ki! |