Jab Aaye Ho Kaanton Mein, Kaaton Se Uljho; Kidhar Jaoge Apna Daaman Bachaye! Kaante: Thorns Daaman: Cloth Hanging From Neck |
Dum Bhar Mere Pehlu Mein Unhein Chain Kahan Hai; Baithe Ki Bahaane Se Kisi Kaam Ke Utthe! Pehlu: Ribs (near) |
Kuch Soch Ke Ek Raah-e-Pur Khaar Se Guzra Tha; Kaante Bhi Raas Na Aaye, Daaman Bhi Kaam Na Aaya! Raah-e-Pur Khaar: A Road Full Of Thorns |
Main Bataun Farq Naseh Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein; Meri Zindagi Talatum Teri Zindagi Kinara! Naseh: Advisor Talatum: High Tide, Upsurge Of Waves |
Khayal-e-Yaar Kabhi Zikr-e-Yaar Karte Rahe; Iss Mata Pe Hum Rozgaar Karte Rahe! Khayal-e-yaar: Thoughts of the beloved Zikr-e-yaar: Talks of the beloved Mata: Merchandise, goods Rozgaar: Livelihood |
Girhen Padi Hain Kis Tarah, Ye Baat Hai Kuch Is Tarah; Woh Dor Tooti Baarha, Har Baar Hum Ne Jod Di! Girhen: Knots Barha: Often |
Aitbaar Us Ka Hamesha Karna; Woh Toh Jhoothi Bhei Kasam Khayega! Aitbaar: Trust |
Baki Rahi Na Phir Woh Sunehri Laqeer Bhi; Tara Jo Toot Kar Shab-e-Khamosh Mein Gira! Sunehri: Golden |
Dekhna Hai Kaun Ab Kis Ka Udaata Hai Mazaaq; Waqt Sanjida Hai, Lekin Log Sanjida Nahi! Mazaq: Fun Sanjida: Serious |
Ab Is Ke Baad Mujhe Kuch Khabar Nahin Unki; Dil Aashna Hue, Apne Hue, Paraye Hue! Khabar: News Aashna: Acquainted |