Apne Man Mein Doob Kar Paa Ja Surag-e-Zindagi; Tu Agar Mera Nahi Banta Na Ban, Apna To Ban! |
Khudi Wo Behar Hai Jis Ka Koi Kinaara Nahi; Tu Aabju Ise Samajha Agar Toh Chaara Nahi! |
Baag Mein Le Ke Janam Hum - Ne Aseeri Jheli; Hum Se Achhe Rahe Jungle Mein Jo Aazaad Rahe! Aseeri: Imprisonment, Captivity |
Mere Guzre Hue Tevar Abhi Bhooli Nahi Duniya, Abhi Bikhri Hui Hain Har Taraf Parchaiyaan Meri! |
Sar Salamat Liye Laut Aaye Gali Se Uski; Yaar Ne Hum Ko Koi Dhang Ki Khidmat Nahi Di! |
Kisi Se Juda Hona Itna Aasan Hota Toh, Jism Se Rooh Ko Lene Farishte Nahi Aate! |
Rahein Na Rind Ye Waaiz Ke Bas Ki Baat Nahin; Tamaam Shehar Hai Do-Chaar-Das Ki Baat Nahin! |
Qaid-e-Hayaat Aur Band-e-Gham Asl Mein Dono Ek Hain; Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nazaat Paaye Kyon! |
Dil Khush Hua Hai Masjid-e-Veera Ko Dekh Kar; Meri Tarah Khuda Ka Bhi Khaana Kharaab Hai! |
Sair-e-Sahil Kar Chuke Ai Mauj-e-Sahil Sar Na Mar; Tujh Se Kya Behalenge Toofanon Ke Bahlaaye Hue! |