Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai; Do Zehar Ke Pyalon Mein Qaza Khel Rahi Hai! |
Jis Ne Jala Ke Dil Mera Hijr Ki Shab Mita Diya, Shamen Jalane Aaya Hai Ab Woh Sar-e-Mazar Kya; Uth Gayi Jis Taraf Nazar Hashr Sa Ik Bapa Hua, Un Ki Nigah-e-Naaz Hai Fitna-e-Rozgar Kya! * Fitna-e-Rozgar: Mischievousness |
Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Laana Harghiz, Haath Bedad-o-Sitam Se Na Uthana Harghiz; Tum Bhi Chori Ko Yaqeen Hai Na Kahoge Achchha, Ab Humein Dekh Ke Aankhein Na Churana Harghiz! * Bedad-o-Sitam: Oppression |
Tujhi Ko Jo Yaan Jalwa-Farma Na Dekha, Barabar Hai Duniya Ko Dekha Na Dekha; Mera Ghuncha-e-Dil Hai Wo Dil Girafta, Ki Jis Ko Kisu Ne Kabhu Va Na Dekha! * Ghuncha-e-Dil: Bud Of Heart * Girafta: Sad |
Jag Mein Aa Kar Idhar Udhar Dekha, Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha; Jaan Se Ho Gaye Badan Khali, Jis Taraf Tu Ne Aankh Bhar Dekha! |
Ek Nazar Kya Mila Gaya Koi; Ek Qayamat Utha Gaya Koi! |
Main Darr Raha Hun Tumhari Nasheeli Aankhon Se; Ki Loot Len Na Kisi Roz Kuch Pila Ke Mujhe! |
Husn Baaton Mein Bhi Paida Kijiye; Saamne Aaina Rakha Kijiye ! |
Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche; Varna Hum Log Kahan Husn-e-Nazar Tak Pahunche! *Shab: Night |
Husn Aur Ishq Hum Aagosh Nazar Aa Jaate; Teri Tasveer Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri; |