Aadatan Tumne Kar Diye Vaade, Aadatan Humne Aitbaar Kiya; Teri Raahon Mein Har Baar Rukkar, Humne Apna Hi Intezaar Kiya! |
Achha Hai Dil Ke Saath Rahe Paasbaan-e-Akl; Lekin Kabhi-Kbhi Ise Tanha Bhi Chhod De! |
Anjaan Ek Saathi Ka Iss Dil Ko Intzaar Hain; Pyasi Hain Ye Aankhen Aur Dil Bekarar Hain; Unke Saath Mil Jaye To Har Raah Aasan Ho Jayegi; Shayad Issi Anokhe Ehsaas Ka Naam Pyaar Hai! |
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin; Aadat Jo Parr Gayi Thi Tere Intzaar Kee! |
Na Jaane Kab Wo Haseen Raat Hogi; Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hogi; Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezaar Mein; Jab Unke Hontho Kee Surkhiyan Hamare Hontho Ke Saath Hogi! |
Koi Bhi Lamha Kabhi Laut Kar Nahi Aaya; Woh Shaksh Aisa Geya Phir Nazar Nahi Aaya! |
Zakhm Itne Bade Hain Izhaar Kya Karein; Hum Khud Nishana Ban Gaye Vaar Kya Karein; Mar Gaye Hum Lekin Khuli Reh Gai Ankhen; Ab Isse Zyada Kisi Ka Intezaar Kya Karein! |
Khatam Hone Ko Hai Dekho Ye Chiragon Ka Safar, Ab To Aa Jao Ki Jalne Laga Hai Dil Mera! |
Tamam Umar Bhi Agar Tera Intezaar Kar Lun, To Bhi Mujhe Ye Ranj Rahega Ki Zindagi Meri Kam Thi! |
Yakeen Hai Ki Na Aaye Ga Mujhse Milne Koi; To Phir Yeh Dil Ko Mere Intezar Kaisa Hai! |