Jo Chirag Saare Bujha Chuke Unhein Intezar Kahan Raha; Ye Sukun Ka Daur-e-Shadeed Hai Koi Beqarar Kahan Raha! |
Bas Ek Choti Si Tum Haan Kar Do; Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kar Do; Wo Mohabbtein Jo Tumhare Dil Mein Hain; Un Ko Zuban Par Lao Aur Bayan Kar Do! |
Bas Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do; Kat Ti Nahi Ab Yeh Zindagi Bin Tere; Aur Kitna Karun Main Intezar Likh Do! |
Koi Hai Jiska Is Dil Ko Intezar Hai; Khyalon Mein Ab To Bas Usi Ka Khayal Hai; Khushiyan Main Is Jahan Kee Saari Us Par Luta Du; Kab Aayega Wo Jiska Is Dil Ko Intezar Hai! |
Intezaar To Bahut Tha Humein; Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate; Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi! |
Dil Kee Baatein Bata Deti Hain Aankhein; Dhadkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein; Dil Pe Chalta Nahi Jadu Chehron Ka Kabhi; Dil Ko Tu Deewana Bana Deti Hain Aankhein! |
Yun Palke Bicha Kar Tera Intezar Karte Hain; Yeh Wo Gunah Hai Jo Hum Baar Baar Karte Hain; Jalakar Hasrat Kee Raah Par Chirag Arzoo Ke; Hum Subah Aur Sham Tere Milne Ka Intezar Karte Hain! |
Kyun Khud Ko Beqarar Kiye Ja Rahe Hain; Kis Bewafa Ko Pyaar Kiye Ja Rahe Hain; Aaya Jo Na Sanam Kabhi, Aur Na Ayega Phir Kabhi; Kyun Uska Intezar Hum Muddat Se Kiye Ja Rahe Hain! |
Pyaar Bahut Hai Tumse Magar Izhaar Nahi Karte; Meri Khamoshi Se Yeh Na Samjhna Ki Tumse Pyaar Nahi Karte; Meri Aankhein To Har Lamha Tumhari Raah Dekhti Hain; Aur Tum Kehti Ho Hum Intezar Nahi Karte! |
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin; Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee! |