Tamam Umar Bhi Agar Tera Intezaar Kar Lun, To Bhi Mujhe Ye Ranj Rahega Ki Zindagi Meri Kam Thi! |
Badi Ajeeb Kashmakash Hai Unke Intezaar Mein, Aankhein Khuli Rakhun Ya Band Kar Lun Khwabon Mein Milne Ke Liye! |
Kishton Mein Khudkushi Kar Rahi Hai Zindagi, Ek Intezar Tera, Mujhe Poora Marne Bhi Nahi Deta! |
Chale Bhi Aao Ki Hum Tumse Pyaar Karte Hain, Ye Wo Gunah Hai Jo Hum Baar-Baar Karte Hain, Log Maut Tak Takte Hain Raah Dildaar Ki, Hum Hain Ki Qabar Mein Bhi Tera Intezar Karte Hain! |
Diya Khamosh Hai Lekin Kisi Ka Dil To Jalta Hai, Chale Aao Jahan Tak Roshni Maloom Hoti Hai! |
Kahin Wo Aa Ke Mita Na Den Na Intezar Ka Lutf, Kahin Qubool Na Ho Jaye Iltija Meri! |
Yakeen Hai Ki Na Aaye Ga Mujhse Milne Koi; To Phir Yeh Dil Ko Mere Intezar Kaisa Hai! |
Itna Aitbaar To Apni Dhadkano Par Bhi Humne Na Kiya, Jitna Aapki Baaton Par Karte Hain; Itna Intezar To Apni Saanson Ka Bhi Na Kiya, Jitna Aapke Milne Ka Karte Hain! |
Uski Dard Bhari Aankhon Ne Jis Jagah Kaha Tha Alvida; Aaj Bhi Wahi Khada Hai Dil Uske Aane Ke Intezaar Mein! |
Raat Din Rulata Hai Intezar Tera; Kat Gayi Umar Lekin Kam Na Hua Pyaar Tera; Ab To Aa Jao Ke Bahut Udas Hai Yeh Dil; Sanson Kee Hi Tarha Lazmi Hai Deedar Tera! |