Kabhi Kisi Ka Jo Ho Tha Intezar Humein; Bada Hi Shaam-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte The! |
Jo Chirag Saare Bujha Chuke Unhein Intezar Kahan Raha; Ye Sukun Ka Daur-e-Shadeed Hai Koi Beqarar Kahan Raha! |
Bas Ek Choti Si Tum Haan Kar Do; Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kar Do; Wo Mohabbtein Jo Tumhare Dil Mein Hain; Un Ko Zuban Par Lao Aur Bayan Kar Do! |
Bas Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do; Kat Ti Nahi Ab Yeh Zindagi Bin Tere; Aur Kitna Karun Main Intezar Likh Do! |
Najane Kab Tak Ye Aankhein Uska Intezar Karengi; Uski Yaad Mein Kab Tak Khud Ko Bekarar Karengi; Use To Ehsaas Tak Nahi Is Mohabbat Ka Yaaro; Kab Tak Ye Dhadkane Uska Aitbaar Karengi! |
Koi Hai Jiska Is Dil Ko Intezar Hai; Khyalon Mein Ab To Bas Usi Ka Khayal Hai; Khushiyan Main Is Jahan Kee Saari Us Par Luta Du; Kab Aayega Wo Jiska Is Dil Ko Intezar Hai! |
Intezaar To Bahut Tha Humein; Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate; Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi! |
Dil Kee Baatein Bata Deti Hain Aankhein; Dhadkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein; Dil Pe Chalta Nahi Jadu Chehron Ka Kabhi; Dil Ko Tu Deewana Bana Deti Hain Aankhein! |
Yun Palke Bicha Kar Tera Intezar Karte Hain; Yeh Wo Gunah Hai Jo Hum Baar Baar Karte Hain; Jalakar Hasrat Kee Raah Par Chirag Arzoo Ke; Hum Subah Aur Sham Tere Milne Ka Intezar Karte Hain! |
Yeh Na Thi Hamari Kismat Ki Visaal-e-Yaar Hota; Agar Aur Jeete Rehte Yahi Intezar Hota; Tere Vaade Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhooth Jaana; Ki Khushi Se Mar Na Jaate Agar Aitbar Hota! Translation: It was never in my fate to be united with my beloved, If I had lived any longer, it would be nothing but more waiting. Waiting with those promises that I know to be falsities, Had I belief in them, I would have died of joy. |