Yeh Jaam Hi Ab Mera Ishq Aur Junoon Hai; Yeh Nashe Ki Aadh Mein Dhokha Nahi Dete! |
Kuch Sahi Toh Kuch Kharaab Kehte Hain; Log Humein Bigda Hua Nawaab Kehte Hain; Hum Toh Badnaam Hue Kuch Is Kadar; Ki Paani Bhi Piye Toh Log Sharaab Kehte Hain! |
Meri Tabahi Ka Ilzaam Ab Sharab Par Hai; Karta Bhi Kya Aur Tum Par Jo Aa Rahi Thi Baat! |
Woh Pila Kar Jaam Labon Se Apni Mohabbat Ka, Ab Kehte Hain Ki Nashe Ki Aadat Achhi Nahi Hoti! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Khane Mein Firaq; Jab Pi Chuke Sharab Toh Sanjeeda Ho Gaye! |
Hum Acche Hi Sahi Par Log Kharab Kehte Hain, Is Desh Ka Bigda Huwa Nawab Kehte Hain; Hum Aise Badnaam Hue Is Shehar Mein, Ki Paani Piye Bhi To Log Ise Sharab Kehte Hain! |
Nasha Hum Kiya Karte Hain, Ilzaam Sharab Ko Diya Karte Hain; Qusoor Sharab Ka Nahi Unka Hai, Jinka Chehra Hum Jaam Mein Talaash Liya Karte Hain! |
Kab Tak Purana Sharab Pilayega, Kab Tak Wahi Prem Katha Sunayega, Dil Ka Tutna Khatam Nahi Hua, Kal Phir Koi Aur Naya Aayega! |
Na Karo Sawaal Tum Is Botal Se Saheb, Ye To Sab Ke Gham Door Karti Hai; Sabhi Peete Hain Isko Shaunk Se Yahan Par, Yeh Kahan Kisi Ko Mazboor Karti Hai! |
Unko Khabar Hai Mere Tute Armaano Ki; Aaj Jarurat Padegi Kanch Ke Pemaano Ki; Khali Na Hone Dena Jaam Yaaro; Warna Fir Se Yaad Aa Jayegi Gujre Zamane Ki! |