Duniya Mizaz-Dan-o-Mizaz-Ashna Na Thi, Duniya Ke Paas Zehar Bahut Tha Dawa Na Thi; Roshan Tha Dil Mein Sirf Kisi Yaad Ka Charagh, Ghar Mein Koi Bhi Roshni Us Ke Siwa Na Thi! |
Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisab; Aaj Tum Yaad Be-Hisab Aaye! |
Koi Bhula Hua Chehra Nazar Aaye Shayad; Aaina Ghaur Se Tune Kabhi Dekha Hi Nahi! |
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain; Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain! |
Isi Khandar Mein Mere Khwab Ki Gali Bhi Thi; Gali Mein Ped Bhi Tha Ped Par Samar Bhi Tha! |
Ujli Ujli Khwahishon Par Neend Ki Chadar Na Daal; Yaad Ke Rauzan Se Kuch Taaza Hawa Bhi Aayegi! |
Tere Hone Ka Mujhe Ab Bhi Bharam Hota Hai; Jism Se Door Kabhi Jaise Ki Saaya Na Gaya! |
Us Shaam Wo Rukhsat Ka Saman Yaad Rahega; Wo Shahr Woh Kucha Wo Makaan Yaad Rahega! |
Yaad Aayi Jab Mujhe 'Farhat' Se Chhoti Thi Behan; Mere Dushman Ki Behan Ne Mujh Ko Rakhi Bandh Di! |
Lamha Wo Teri Yaad Ka Aise Guzar Gaya; Jaise Ki Phool Shakh Se Toota Bikhar Gaya! |