Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar; Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe! |
Barsat Kee Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi; Kuch Apna Zamana Yaad Aaya Kuch Unki Jawani Yaad Aayi; Hum Bhool Chuke The Jisne Humein Duniya Mein Akela Chora Tha; Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Si Yaad Aayi! |
Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha; Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha; Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha; Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha! |
Phir Chupke Se Yaad Aa Geya Koi; Meri Aankhon Ko Phir Rula Geya Koi; Kaise Uska Shukriya Karun Ada; Jo Mujh Na-Chiz Ko Shayar Bana Geya Koi! |
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab; Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab; Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab! |
Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai; Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai; Lobaan Mein Chingari Jaise Koi Rakh Jaye; Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai! |
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi; Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi; Mehkti Fiza Kee Khushboo Mein Jo Dekha Pyaar Ko; Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi! |
Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati; Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati; Ajeeb Log Hain Iss Zamane Mein; Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati! |
Shikwa Kisi Ka Na Fariyad Kisi Kee; Honi Thi Yun Hi Zindagi Barbaad Kisi Kee; Ehsas Mita Talash Miti Mit Gayi Umeedein; Sab Mit Geya Par Na Mit Saki Yaad Kisi Kee! |
Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le; Mujhe Yaad Rakh, Beshak Naam Na Le; Tera Veham Hai Ki Hum Bhool Gaye Tujhe; Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le! |