Zindagi Kavish-e-Batil Hai Mera Saath Na Chhod,
Tu Hi Ik Umar Ka Hasil Hai Mera Saath Na Chhod;
Log Milte Hain Sar-e-Raah Guzar Jaate Hain,
Tu Hi Ik Hum-Safar-e-Dil Hai Mera Saath Na Chhod!
Kiya Hai Pyaar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah,
Woh Aashna Bhi Mila Hum Se Ajnabi Ki Tarah;
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tariki,
Chhupega Woh Kisi Badli Mein Chandani Ki Tarah!
Aur Kya Dekhne Ko Baaki Hai;
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya!
Ab Us Ka Naam Dil Se Kya Mitana;
Jo Hum Ne Likh Diya Hai Likh Diya Hai!
Koi Samjhe To Ek Baat Kahun;
Ishq Taufiq Hai Gunah Nahi!
Saj-Dhaj Ke Aap Nikle Sar-e-Rah Khair Ho; Takra Na Jaye Aap Ka Pagal Sambhaliye!
Wo Mila Ke Nazar Is Ada Se Chala; Jaise Milne Kisi Apsara Se Chala!
Abhi Hain Qurb Ke Kuch Aur Marhale Baaki; Ki Tujh Ko Pa Ke Humein Phir Teri Tamanna Hai!
Tum Jo Ho Paas To Kami Kya Hai; Tum Na Ho To Ye Zindagi Kya Hai!
Ghar Se Na Jao Door Kisi Ajnabi Ke Saath; Barsenge Zor Zor Se Badal Sambhaliye!