Ab Bhi Barsat Ki Raaton Mein Badan Toota Hai;
Jaag Uthti Hain Ajab Khwahishen Angdai Ki!
Barsat Ke Aate Hi Tauba Na Rahi Baaki;
Badal Jo Nazar Aaye Badli Meri Niyat Bhi!
Barsaat Tham Chuki Hai Magar Har Shajar Ke Paas;
Itna To Hai Ki Aap Ka Daman Bhigo Sake!
Barfeeli Chattan Par Ped Khada Muskaye;
Sara Mausam Sard Hai Jism Aag Barsaye!
Ab Udaas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein;
Is Tarah To Hota Hai Is Tarah Ke Kaamon Mein!
Puchte The Na Kitna Pyaar Hai Tumhein Hum Se;
Lo Ab Gin Lo Baarish Ki Ye Boonde!
Agar Tum Ho To Ghabrane Ki Baat Thodi Hai;
Zara Si Boonda-Bandi Hai Barsaat Thodi Hai!
Baarish Aur Mohabbat Dono Hi Bahut Yaadgar Hote Hain;
Farq Sirf Itna Hai Baarish Mein Jism Bheeg Jata Hai Aur Mohabbat Mein Aankhein!
Mumkin Hai Yehi Dil Milane Ka Sabab Ho;
Yeh Rutt Jo Humein Haath Milane Nahi Deti!
Aasman Par Chha Gayi Ghata Ghor-Ghangor;
Jaayein To Jaayein Kahan Virane Meinn Shor!