Bazm-e-Wafa Saji To Ajab Silsile Hue;
Shikve Hue Na Un Se Na Hum Se Gile Hue!
Karta Raha Woh Mujh Pe Sada Meharbaniyan;
Kuch Aur Dhundhti Rahi Main Meharban Mein!
Bas Isi Umeed Pe Hota Geya Barbad Main;
Gar Kabhi Bikhra To Aa Kar Tu Sambhalega Mujhe!
Na Koi Vaada Na Koi Yaqeen Na Koi Umeed;
Magar Humein To Tera Intezar Karna Tha!
Hum Saans Bhi Lene Ke Saza-Var Na Thehre,
Maazi Ke Kharabe Ki Bhi Deewar Na Thehre;
Sau Baar Dhuan Phool Ke Seene Se Utha Hai,
Badal Ke Qadam Baagh Mein Ik Baar Na Thehre!
*Maazi: Past
*Kharabe: Waste
Isi Shehar Mein Kayi Saal Se Mere Kuch Qaribi Azeez Hain;
Unhein Meri Koi Khabar Nahi Mujhe Unka Koi Pata Nahi!
Wo Afsana Jise Anjam Tak Laana Na Ho Mumkin;
Use Ik Khoobsurat Mod De Kar Chhodna Achha!
Toot Padti Thi Ghataen Jin Ki Aankhen Dekh Kar;
Wo Bhari Barsaat Mein Tarse Hain Paani Ke Liye!
Qabron Mein Nahi Hum Ko Kitabon Mein Utaro;
Hum Log Mohabbat Ki Kahani Mein Maren Hain!
Pehle Is Mein Ik Ada Thi Naaz Tha Andaaz Tha;
Roothna Ab To Teri Aadat Mein Shamil Ho Gaya!