Hazarat-e-Naseh Gar Aayen Didah-o-Dil Farsh-e-Raah;
Koi Mujh Ko Ye To Samjha Do Ki Samjhavenge Kya!
Be-Niyazi Hadd Se Guzri Banda-Parvar Kab Talak;
Hum Kahenge Hal-e-Dil Aur Aap Farmavenge Kya!
*Be-Niyazi: Unconcern
*Banda-Parvar: Powerful man
Ye Ada-e-Be-Niyazi Tujhe Bewafa Mubarak;
Magar Aisi Be-Rukhi Kya Ki Salaam Tak Na Pahunche!
*Ada-e-Be-Niyazi: Air of carelessness
Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahi;
Wo To Milne Ko Mulaqat Samajhta Hi Nahi!
Betab Sa Phirta Hai Kayi Roz Se 'Aasi';
Bechare Ne Phir Tum Ko Kahin Dekh Liya Hai!
Ye Fitna Aadmi Ki Khana-Veerani Ko Kya Kam Hai;
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho!
Suna Hai Teri Mehfil Mein Sukun-e-Dil Bhi Milta Hai;
Magar Hum Jab Teri Mehfil Se Aaye Be-Qarar Aaye!
Jaane Wale Se Mulaqat Na Hone Payi;
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi!
Gali Ke Mod Se Ghar Tak Andhera Kyon Hai 'Nizam';
Charagh Yaad Ka Us Ne Bujha Diya Hoga!
Hum Ko Maalum Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin;
Dil Ke Khush Rakhne Ko 'Ghalib' Ye Khayal Achcha Hai!